Popular Posts

गुरुवार, 29 मार्च 2007

Na jane mujhe kya ho raha hai
Pehale to nahi tha par ab dard ho raha hai

Kuch rishte Samaaj ki aag mein Mom se pighal gaye
Na jane kis pe gira garm Mom na jane kon ro raha hai.

Nadi baha ke layi thi le jana bhool gayi
Us thandi narm ret par wo kon so raha hai

Kuch tasveerien chaatnkar ek kahaani banaayi thi
Ye to na tha kahaani mein , ye jo ho raha hai

Na jane kiski kahaani ka main konsa hissa hoon
Meri to har kahaani ka har kissa kho raha hai.

Na jane mujhe kya ho raha hai.......

शुक्रवार, 23 मार्च 2007

Talaash

Sukhe patton ki tarah ye zindagi udaas hai
Ab ban ke baras tu Saawan mujhe ek nayi bahaar de

Wo gubaar tha jo guzar gayaa
Ab sukun se hun, ab pyaar de

Jo waqt tha , Ab Khandhar hai
Jo Abaad hai use yaar le

Tu nahi to zindagi ek dhoka hai
Main bhi is dhoke main hun , ek baar to deedaar de.

सोमवार, 19 मार्च 2007

Jindagi mein kuch aisee bhayanak manjar dekhe
Hasne waalon ki aankhon mein aansu ke samandar dekhe
Jaagte rehna doston ke saath bhi e dost
Kyonki unke haaton mein maine Khooni khanjar dekhe
Seechna in khetaon ko Apne passene se bhi
Saawan mein bhi kai khet maine banjar dekhe..
Yaad kabhi aaye jo meri aansu tum bahaana nahi
Us neem ke neeche dafn hain hamaari yaaden unhe chodkar kabhi jaana nahi..

Bewafa hum nahi, bewafai waqt ki ek adaa hai
Waqt ke chahare ko abhi tumne pehchana nahi

Wo Neem Wo Peepal Wo Gulmohar ke ped
Isse jyaada kisi ko kuch samjhaana nahi

Abhi aur bhi milenge naye chehare bheed mein
Par puraane cheharon ko kabhi bhool jana nahi

Jaanata hoon tod dogi ek din tum mera bhram
Par meri yaadon se kabhi tum peecha chudaana nahi.

Saawan

Aasma ke baad bhi ek Aasma baki hai
Gujare hue saawan ke kuch nishan baki hai
Yun to behti nadiyon ka pani Saawan ka mohtaj nahi
Par behati nadiyon ko aaj bhi Saawan ki yaad baki hai.

Jindagi

Lamha Lamha maut thi Tanha tanha Zindagi
Har lamha tha tanha aur Khamosh thi Zindagi
Dil ka tootana bhi ek khabar ban gayi
Aur khabaroon ke bazaar mein bik gayi Zindagi……..

Jaroori

Dil ki baton ko hotoon pe laana jaroori tha
Gum diya jo tumne usme muskurana jaroori tha

Jaagte rahe der tak tanha sannaate
Sannaaton ki us mehfil mein jaagna jaroori tha

Kya jakhm hai ye jo waqt bhi bharta nahi
Ye tum jo de rahe the; mera jakhm khana jaroori tha

Tumne jo diya tumse jo mila wo mera maji tha
Us mod par maji ko chodkar jaana jaroori tha

Raaston ke saath bhatke hain kai kaarwaan
Raston pe aane ke liye ek karwaan jaroori tha.

बुधवार, 7 मार्च 2007

YE Kavita Nahi Hai

Roz-Roz in ankhon se aur kab tak bahogi tum
Diye ghar nahi jalate aur kab tak kahogi tum
Kab tak kahogi ki Andhiyan kisi chat ko udati nahi
Kab tak kahogi ki Bijliyaan kabhi gadgadati nahi
Roshan Chirag ne ghar ko jala kar roshani le li.
Ud ke chappar bhi chala gaya un Andhiyon ke saath
Aur bijali chamakne se kapte hain aaj bhi mere haath
Ab aur kitani der tak Ankhen band kar ke rahogi tum
Aur kitani der tak is Kafan mein rahogi tum.

मंगलवार, 6 मार्च 2007

Ek Aur Holi

Tute taare sab mil gaye, ye tute Taroon ki toli hai
Mil ke khoob udaao rang, ye mere Rangon ki Holi Hai !!

Alag Alag sapno ke rang, par sapne ek samaan hai
Daal haath nikaal lo, ye tute sapno ki Jholi hai!!

Wo Bandhan jo Bandh nahi paaye,wo ashru jo beh nahi paye
Un sab purane yaadon ki aaj jalani Holi hai !!

Aur Jawani bas kuch din ki, phir sare rang dhul jayenge
Beeta sawan aata Patjhar ab unki ye Boli hai !!!

Tute Tare........