Popular Posts

मंगलवार, 27 फ़रवरी 2007

Jata Nahi

Guzar gaya hai jo, kyun dil se jata nahi
Ret pe likhi kahaani ko, kyun samundar mitata nahi

Kai saal hue yahan se kashtiyan guzare
Ab to barsaat ka pani bhi yahan tik pata nahi

Siyasi khel main mere Mandir-Masjid lut gaye
Badi der hui Maalik, koi Paigambar bhi aata nahi.

Mere seene ke ghaav itane to gehree na the
Jane kya baat hai ki waqt bhi inhe bhar pata nahi

शुक्रवार, 23 फ़रवरी 2007

Ek Safar

Zindagi tujhe jeene ke bahaane na mile
Dhoonda unhe bahut par guzare zamaane na mile

Yun to sadiyon se zamaane mein deewangi ka dastoor hai
Par saare shahar mein tujh se deewane na mile

Safar me hum se bhi kuch aise dhoke hue
shaklein to sab thi nayi par log jane pehchaane mile

Rah ko rah mili , Manzeelon ko Manzeelin
Par manjilon pe aake humein sab raaste anjaane mile.

बुधवार, 21 फ़रवरी 2007

Bewafa

December ki ek haseen raat mere saath
Kohre ki agli subah aur woh mili kisi aur ke saath

Na jane kya tha uske milne julne ka ye silsila
Har barsaat mein mili har baar ksis aur ke saath

Kyon samjhaate ho mujhe mere dil mein koi dard nahi
Mera to dil hi chala gaya us bewafa ke saath

Sapnoo ka yun tootna ankhon mein ab bhi chubhta hai
waqt bhar dega zakhm saare, jee rahe hain hum is Aas ke saath

Tum manaao jashn ki ab raton raat diwali hai
Apna to ek dard ka rishta hai is kali raat ke saath



मंगलवार, 20 फ़रवरी 2007

Yaad

Tum se dooriyan acchi, mulakaaton ke bahaane the
tum door ho k bhi kareeb the, kya haseen zamaane thee.

Raat bhi kabhi kahin, itani pareshaan na thi
chandani na aane ke, uske apne bahaane thee.

Tumhare gulsitaan mein bhi, koi kami thi nahi
hamaare biyanbaan mein to, shool bhi begaane thee.

Tum to aaj ho nahi,par aaj bhi tum hi lagti hao
tumhare baad ke veerane se, hum kitane anjaane thee.
Kai roz se rosi bhi aai nahi , sab adhura sa lagta hai. Ab to raat ke das baj gaye hain shyad is baar kuch jyada naraaz ho gayi hai. Kitane haseen pal hamne saath me jiye hain,

Wo mera intezzar karna woh uska dabe paav aana aur dheere se mere haaton ko choomna. Din bhar ki office ki thakaan ko thakane ka madda rakhti hai rosi.Mera daftar se kahin aur chala jana use bilkul pasand nahi hai, agar main samay pe ghar na pahoonch saka to samjho aaj roti nahi milegi, kyonki rosi ke khaye bina to main nahi kha sakta na.
Main uske bachpan se use janta hoon. Paida hote hi maa-baap ka sayya uske sir se uth gaya.Bade mushkilaat bhare din the wo, par bechari ne aaj tak choon nahi ki. Uska dard, uske aanson na jane kahaan chupe hue hain. Maine kabhi dekhaa nahi. Shayad bachpan ke sadme ne uske aanso sukha diye hain. Jab choti si thi to apni godd me le le ke ghoomta tha. Us ke liye pahli baar shopping bhi maine ki thi , shayad wahi akhiri bhi thi jab maine Rosi ke liye ek hair comb liya tha. Kitna bachpana tha mujh me..

Jab rosi badi hui to mano jaise uske jawani ka saara bojh mujh pe aa gaya ho. Saaraa din office me bas ek hi khayaal , ki kahin rosi bahar to nahi gayi hogi ya koi ghar me to nahi ghus ayaa hoga. Man ek jahaaj ke panchi ki tarah udd to raha tha par laut ke wapis rosi ke paas aa jata tha.
Kabhi kabhi to aisa lagt tha ki Rosi purane janm me hamare hi khandaan ka hissa thi.
Rosi ko raat me bilkul neend nahi aati thi, aisa lagta tha mano bahut baichain hai, kuch aisa hai jo dil hi dil me usse khaye jaa raha hai.Lekin kabhi usne kuch nahi kaha.Kabhi kabhi wo mujhe aisee dekhti thi mano jaise pooch rahi ho ki kya paap kiye hain usne jinki saja wo is tarah bhugat rahi hai. bahut akeli, tanha aur shyad ignored thi.Na uske koi dost the , na hi koi rishtedar bas ek main hi tha jo kuch tha.Na jane kab bimaar hui na jane kab theek bhi ho gayi par kuch boli nahi. Shayad kuch dabaa rakhaa tha dil me

Aaj aankh bhar ayi hai, rosi kai dino se na jane kahaan chali gayi hai.Sunte to hain ki do din pahle Kutte pakadne wali gaadi mohalle main aayi thi, par dil hai ki sab jaante hue bhi nahi manta hai.
Na jane kis haal me hogi Rosi......Rosi tum jate jate mujhe ek lambi khamoshi de gayi ho..
The Monk

सोमवार, 19 फ़रवरी 2007

Shaam Ho gayi

Yun hi chalte chalte ek aur shaam ho gayi
Din bhar bune sapno ki maut sare aam ho gayi

Kai din se tere ghar ka pata pooch raha
Na jane kaun tha, jiski maut asaan ho gayi

Koi deewana galiyare se duhaai de raha
Dosti me bewafai, ab ek shaan ho gayi

Mile hi na the mujhse tum to bichadte kaisee
mil ke bichadne ki rasm to aam ho gayi

Ab to rah ko hi manzil kartaa chaloon
taki phir keh na sakoon ki raste mein hi shaam ho gayi.

परछाइयाँ

बेजान दीवारों पर खामोश परछाइयाँ 
मेरे तन्हाई की साथी बनी है परछाइयाँ 

तन्हाई में हमें यूँ वक़्त का तकाज़ा ना रहा 
दीवारों पर आकर वक़्त बताती रही परछाइयाँ 

वक़्त के धोके  ने यूँ तो कई बार मिटाया हमको 
पर रात की साजिश से मिट गयी हैं परछाइयाँ

मुसाफिर हूँ, यूँ ही चला जाता हूँ, बिना किसी मंजिल के 

मंजिल मंजिल भटकती है मुसाफिरों की परछाइयाँ 

Tute Rishte

Tute rishte ki dor mere haath mein hai
adhoore sapno ka poora such mere saath main hai
Aur hain kuch dhondhalin si yadein
jinki baat mere har baat mein hai

Bahte hue hai kohre main kuch raaste gum ho gaye
hawaon pe paanw rakh k tum bhi na jane kahan kho gaye
Tumhare diye jakhm aur nakhoono ke nisha
aaj bhi mere haath mein hai.

Tum se milkar bhi ek khamoshi chayi rahi
jagti ankho mein neend se aayi rahi
bhoolna tujhko itna aasan na tha
bhoolin sahi par yaaden teri aaj bhi saath mein hain...

Tute rishte.......

Maut


Intekaal ke intezaar ki imtehann ho gayiAai na Maut humein na jane kya khata ho gayi


Ja ke kaho koi Maut se ki yun na sataye humkoAnan hai to aa hi jaye yun roz roz na khaye humko


Hum roz der raat tera intezaar kar rahe hainKhidki, darwaaze sab tere liye khule rakh rahe hain


Ghar apna batla do mujhko gar aane me taklif ho
Main khud hi tumhare paas chala aaunga;

waada hai ye mera,
phir kabhi laut ke na jaaounga


Khoj

Jeevan rita beet gaya, mein ek asha mein reh gaya
shabdon ke arth badal gaye , mein paribhasha mein reh gaya !!

Geele mitti ki sondhi khushbu man mein bas ke rah gayi
par man ke akshar samajh na paya, mein sirf bhasha mein reh gaya!!

Dhonda jisko nagar nagar, wo kahin dil mein hi baitha tha
duniya ko mila wo unke ghar main, mein Kashi Kaba mein reh gaya!!