Popular Posts

मंगलवार, 3 अप्रैल 2007

MANN KAR RAHA HAI

Aaj phir kuch likhane ka mann kar raha hai
purane ghav kuredane ka mann kar raha hai

kis kis ka chuta haath mere haath se
piche mud ke dekhane ka mann kar raha hai

Kahan jaate hain pareende is raat ke hote
aaj raat jag ke dekhane ka mann kar raha hai

wo diya jo khud jalkar roshani de raha hai
aaj phir jalkar dekhane ka mann kar raha hai.

कोई टिप्पणी नहीं: