Popular Posts

शुक्रवार, 14 सितंबर 2007

वक़्त

वक्त ज़ख्म, वक्त ही दवा देता है
जिन्दा है जो उन्हें जीने कि सजा देता है

झुलस रहे हैं सदियों से कई जिस्म जिन्दगी कि आग में
बुझते शोलों को वक्त आ आके हवा देता है

जो होते शूल फूलों के खिलाफ तो जिस्म छिल जाते तितलियों के
अपनों से वाफाई का सिला वक़्त सिखा देता है।

वक़्त वो वक़्त है कि जालिम हर वक़्त कुछ नया देता है

मंगलवार, 21 अगस्त 2007

जिए जा रहा हूँ

तुम्हारी यादों का साथ दिए जा रहा हूँ
जिंदगी कुछ इस तरह जिए जा रहा हूँ

बोलते सन्नाटों में एक दम खामोश हूँ
आज साथ खामोशी का दिए जा रहा हूँ

तुम हो कहीँ बाकी इस दिल में मगर ये लगता है
अपने हिस्से कि बेवफाई निभाए जा रहा हूँ

यूं तो तेरे रास्ते से होकर हम कई बार गुजर गए
तुझ तक जो पहुंचे वो रस्ते बनाए जा रहा हूँ

तुम मुझे मिलोगी कभी ये उम्मीद अभी बाकी है
इस उम्मीद में जिंदगी के किले बनाए जा रहा हूँ

आमोद

शहर बदल सकते हैं राज्य बदल सकते हैं
प्यार करने वाले साम्राज्य बदल सकते हैं

जब तक रहा मैं, जिन्दगी मेला रही
जिंदा लोग जिंदगी का भाग्य बदल सकते हैं


वैराग्य ले लिया उनके जाने के बाद
जो रहे जिन्दगी भर आमोद से, वैराग्य बदल सकते हैं

सोमवार, 16 जुलाई 2007

एक बार फिर से आओ

बडे शान से सजायीं हैं ये महफ़िलें मैंने
तुम इनमे आओ कभी तो रंगो को पहचान मिले

नदी बन के तुम आओ या समुन्दर ओढ़ के आओ
बस फिर से तुम आओ कभी तो दिल को कुछ आराम मिले

एक बार फिर आओ कि कुछ उम्मीदें अभी बाकी हैं
आकर दो शब्द कह जाओ कि इस कहानी को अंजाम मिले

महफिलों का सूनापन धीरे धीरे समेटेंगे
आकर तुम महफिल जला जाओ तो पानी को भी कुछ काम मिले

शुक्रवार, 13 जुलाई 2007

महफिल सजाये रखना

जिन्दगी कि महफिलें यूं ही सजाये रखना
उम्र भर ग़मों को सीने में छुपाये रखना

ना जाने कब आ जाये मौत तुम्हे नींद में
शहर में चार लोगों से बनाए रखना

अँधेरे का दौर है, दिन भी यहाँ काले हैं
एक दीप तुम भी अपनी चौखट पे जलाये रखना

ना जाने कब आ जाये मौसम बरसात का
झूलें तुम नीम पे हर वक़्त सजाये रखना

बे वक़्त की हसीं होटों पे अच्छी नही लगती
कुछ आंसू भी अपने पलकों में हमेशा दबाये रखना

जिंदगी कि महफिलें यूं ही सजाये रखना

बुधवार, 11 जुलाई 2007

तुम नही

तुम मेरी नही ये गम नही
तुम हो कहीँ ये काफी है
जीं रहा हूँ इस तरह
कि तेरे निशाँ बाक़ी हैं
तेरा ख़याल दिल से जाते जाते जाएगा
याद करने के लिए इक उम्र अभी बाकी है
ग़मों से मेरा अपना एक समझौता है
घर से दूर मस्जिद है
मस्जिद मे एक साकी है

शुक्रवार, 11 मई 2007

ये किस मुकाम पे आ गए हो तुम

ना जाने किस मुकाम पे आ गए हो तुम
पाना था किसे, किसे पा गए हो तुम

राह जो रात भर चलती रही अब खामोश और परेशान है
उस राह को छोड कर किन पगडंडियों पे आ गए हो तुम

एक चांद कहीँ ठहरा है एक रात कहीँ बाक़ी है
जागी रातों कि नीद में अब आ गए हो तुम

ये किस मुकाम पे आ गए हो तुम

क्या जवाब दोगे

डूबती कश्तियों को तुम क्या जवाब दोगे
सहिलों पे कहीँ तुम भी बेबस खडे होंगे

रात काली कर गया वो पूनम का चांद
ताजमहल को कैसे तुम अमावस में देख लोगे

रास्तों पे आये कहीँ ग़र मंजिलें तुमको नज़र
मंजिलों पे आके क्या रास्ते तुम छोड़ दोगे

सपने बहुत अच्छे हैं तुम्हारे
जाग के क्या तुम इन सपनो को तोड़ दोगे

!!!

शुक्रवार, 27 अप्रैल 2007

मेरे हबीब

जो सारे मेरे करीब थे
वो सारे मेरे रकीब थे

तुम नागाहान ही मुझ से मिल गए
जिंदगी के वाकये अजीब थे

मैं तमाम उम्र फरेब - ए -बका में रहा
जो फरेब देते रहे वो सारे मेरे हबीब थे

सोमवार, 16 अप्रैल 2007

कहीं दूर देखो शाम Jal रही है

धुआं उठ रह है पिघलते अफताब के साथ
कहीं दूर देखो शाम जल रही है

सुरूर -ए -तप -ए गम के मौसम भी मुरझाने लगे
पिछले कुछ दिनों से अपनी तबियत मचल रही है

तेरे अहद -ए -तरब * आज भी है मुझको याद
हर जगह तेरे कर -ए -वफ़ा * कि बात चल रही है

ख़याल -ए -रोज़ -ए -जज़ा * ने आकर मुझको डरा दिया
उम्र आजकल कुछ जल्दी ढल रही है

कहीं दूर देखो शाम Jal रही है

..

मंगलवार, 10 अप्रैल 2007

KOI AUR

Mere Katbe* se mitti hataa gaya koi
Yaad tha koi, yaad aa gayaa koi

Mere dil ko chukar kuch Armaan nikal gaye
Sapno mein tha koi, dil mein aa gaya koi

Hum agaaz-e-ulfat* ko aaqibat* samjh baithe
Ashnaa tha koi, ashnai-iii dikha gaya koi

Chirag-e sahar* se hi ghar mein roshani thi
aatish tha koi aatishe-dozakh* dikha gaya koi..

*Katba- Kabra pe laga pathhar
*Agaaz-e-ulfat- Pyaar ki shuruaat
*Aaqibat- conclusion- end
*Chirag-e-sahar- Light of Dawn
*Atishe-dozakh- Fire of Hell

सोमवार, 9 अप्रैल 2007

Tum Yaad Ati Rahi

Dil se hook uthati rahi, Shamma bujh ke jati rahi
Main rota raha raat bhar, yaad Tum aati rahi

Jalte hue Dil ko maine , Sharaab mein dubo diya
Wo bujh ke dhuan ho gaya, ek aas thi wo jati rahi

Aadhi raat jab chand chup gaya baadalon ke paar
Door kisi ghar mein Shahnai gungunati rahi

Raat bhar chat par Taare main ginta raha
Raat bhar kaano mein geet tum gaati rahi

Maine tumhare naam se ek Deep jala kar rakh diya
Raat bhar sard hawaa aake mujhko daraati rahi..

Main rota raha raat bhar, Yaad tum aati rahi…


Tumhe Apna Samjhta Raha

Jeevan ki aandhiyon ko main sapna samjhta raha
Zindagi bhar dhoka hua, tumhe apna samjhta raha

Zindagi bhar teer mere ek tarkash mein rahe
Jangalon ke beech khudko main tanha samjhta raha

Raaston ke aage kai raaste nikalte gaye
Unko main manjilon ke nishan samjhta raha

Khamoshi ke baad bhi khamoshi chayi rahi
Us khamoshi ko main tumhari aawaz samjhta raha.

बुधवार, 4 अप्रैल 2007

Armaan Chala Gaya

Zindagi bhar jine ka armaan chala gayaa
Baadalon ke saath Aasman chala gaya

Samjhaya tha na janana yun kisi ke saath raah chalet
Us haseen khwaab ke saath Dil-e-Nadan chalaa gayaa

Bamushkil likhe the wo Dard-e-Sher maine
Abki tufaan mein mera Deewan chala gaya

Daur-e-Mushkil mein tanhaai ne bhi saath chod diya
Meri mehfil se uthkar hare ek insaan chala gayaa..

Zindagi bhar jine ka armaan chala gaya….

मंगलवार, 3 अप्रैल 2007

MANN KAR RAHA HAI

Aaj phir kuch likhane ka mann kar raha hai
purane ghav kuredane ka mann kar raha hai

kis kis ka chuta haath mere haath se
piche mud ke dekhane ka mann kar raha hai

Kahan jaate hain pareende is raat ke hote
aaj raat jag ke dekhane ka mann kar raha hai

wo diya jo khud jalkar roshani de raha hai
aaj phir jalkar dekhane ka mann kar raha hai.

सोमवार, 2 अप्रैल 2007

Kai Dino Se tum Bahut Yaad aa Rahi Ho

Kai dino se tum bahut yaad aa rahi ho
Jaa chuki ho kab ki par ab bhi roz aa rahi ho.

Barasaa nahi kabhi saawan ka pehla pani, jaisaa us din barsaa tha
Garjaa nahi kabhi saawan ka badal jaisaa us din garja tha
Saawan ke Mahine mein tum Malhaar gaa rahi ho


Tumhare daur se hum thoda aage nikal aaye
Pichali purani yadon ko wahin chod aaye
Par saans leta hoon to lagata hai jaisee us daur ki khushbu aa rahi ho

Wo Do Kadam jo mujhko chalne the
Aaj bhi nahi chal payaa hoon
Mere do kadmo se chalkar Jaisee tum tak koi raah aa rahi ho..

Kai dino se tum bahut Yaad aa rahi ho…

गुरुवार, 29 मार्च 2007

Na jane mujhe kya ho raha hai
Pehale to nahi tha par ab dard ho raha hai

Kuch rishte Samaaj ki aag mein Mom se pighal gaye
Na jane kis pe gira garm Mom na jane kon ro raha hai.

Nadi baha ke layi thi le jana bhool gayi
Us thandi narm ret par wo kon so raha hai

Kuch tasveerien chaatnkar ek kahaani banaayi thi
Ye to na tha kahaani mein , ye jo ho raha hai

Na jane kiski kahaani ka main konsa hissa hoon
Meri to har kahaani ka har kissa kho raha hai.

Na jane mujhe kya ho raha hai.......

शुक्रवार, 23 मार्च 2007

Talaash

Sukhe patton ki tarah ye zindagi udaas hai
Ab ban ke baras tu Saawan mujhe ek nayi bahaar de

Wo gubaar tha jo guzar gayaa
Ab sukun se hun, ab pyaar de

Jo waqt tha , Ab Khandhar hai
Jo Abaad hai use yaar le

Tu nahi to zindagi ek dhoka hai
Main bhi is dhoke main hun , ek baar to deedaar de.

सोमवार, 19 मार्च 2007

Jindagi mein kuch aisee bhayanak manjar dekhe
Hasne waalon ki aankhon mein aansu ke samandar dekhe
Jaagte rehna doston ke saath bhi e dost
Kyonki unke haaton mein maine Khooni khanjar dekhe
Seechna in khetaon ko Apne passene se bhi
Saawan mein bhi kai khet maine banjar dekhe..
Yaad kabhi aaye jo meri aansu tum bahaana nahi
Us neem ke neeche dafn hain hamaari yaaden unhe chodkar kabhi jaana nahi..

Bewafa hum nahi, bewafai waqt ki ek adaa hai
Waqt ke chahare ko abhi tumne pehchana nahi

Wo Neem Wo Peepal Wo Gulmohar ke ped
Isse jyaada kisi ko kuch samjhaana nahi

Abhi aur bhi milenge naye chehare bheed mein
Par puraane cheharon ko kabhi bhool jana nahi

Jaanata hoon tod dogi ek din tum mera bhram
Par meri yaadon se kabhi tum peecha chudaana nahi.

Saawan

Aasma ke baad bhi ek Aasma baki hai
Gujare hue saawan ke kuch nishan baki hai
Yun to behti nadiyon ka pani Saawan ka mohtaj nahi
Par behati nadiyon ko aaj bhi Saawan ki yaad baki hai.

Jindagi

Lamha Lamha maut thi Tanha tanha Zindagi
Har lamha tha tanha aur Khamosh thi Zindagi
Dil ka tootana bhi ek khabar ban gayi
Aur khabaroon ke bazaar mein bik gayi Zindagi……..

Jaroori

Dil ki baton ko hotoon pe laana jaroori tha
Gum diya jo tumne usme muskurana jaroori tha

Jaagte rahe der tak tanha sannaate
Sannaaton ki us mehfil mein jaagna jaroori tha

Kya jakhm hai ye jo waqt bhi bharta nahi
Ye tum jo de rahe the; mera jakhm khana jaroori tha

Tumne jo diya tumse jo mila wo mera maji tha
Us mod par maji ko chodkar jaana jaroori tha

Raaston ke saath bhatke hain kai kaarwaan
Raston pe aane ke liye ek karwaan jaroori tha.

बुधवार, 7 मार्च 2007

YE Kavita Nahi Hai

Roz-Roz in ankhon se aur kab tak bahogi tum
Diye ghar nahi jalate aur kab tak kahogi tum
Kab tak kahogi ki Andhiyan kisi chat ko udati nahi
Kab tak kahogi ki Bijliyaan kabhi gadgadati nahi
Roshan Chirag ne ghar ko jala kar roshani le li.
Ud ke chappar bhi chala gaya un Andhiyon ke saath
Aur bijali chamakne se kapte hain aaj bhi mere haath
Ab aur kitani der tak Ankhen band kar ke rahogi tum
Aur kitani der tak is Kafan mein rahogi tum.

मंगलवार, 6 मार्च 2007

Ek Aur Holi

Tute taare sab mil gaye, ye tute Taroon ki toli hai
Mil ke khoob udaao rang, ye mere Rangon ki Holi Hai !!

Alag Alag sapno ke rang, par sapne ek samaan hai
Daal haath nikaal lo, ye tute sapno ki Jholi hai!!

Wo Bandhan jo Bandh nahi paaye,wo ashru jo beh nahi paye
Un sab purane yaadon ki aaj jalani Holi hai !!

Aur Jawani bas kuch din ki, phir sare rang dhul jayenge
Beeta sawan aata Patjhar ab unki ye Boli hai !!!

Tute Tare........

मंगलवार, 27 फ़रवरी 2007

Jata Nahi

Guzar gaya hai jo, kyun dil se jata nahi
Ret pe likhi kahaani ko, kyun samundar mitata nahi

Kai saal hue yahan se kashtiyan guzare
Ab to barsaat ka pani bhi yahan tik pata nahi

Siyasi khel main mere Mandir-Masjid lut gaye
Badi der hui Maalik, koi Paigambar bhi aata nahi.

Mere seene ke ghaav itane to gehree na the
Jane kya baat hai ki waqt bhi inhe bhar pata nahi

शुक्रवार, 23 फ़रवरी 2007

Ek Safar

Zindagi tujhe jeene ke bahaane na mile
Dhoonda unhe bahut par guzare zamaane na mile

Yun to sadiyon se zamaane mein deewangi ka dastoor hai
Par saare shahar mein tujh se deewane na mile

Safar me hum se bhi kuch aise dhoke hue
shaklein to sab thi nayi par log jane pehchaane mile

Rah ko rah mili , Manzeelon ko Manzeelin
Par manjilon pe aake humein sab raaste anjaane mile.

बुधवार, 21 फ़रवरी 2007

Bewafa

December ki ek haseen raat mere saath
Kohre ki agli subah aur woh mili kisi aur ke saath

Na jane kya tha uske milne julne ka ye silsila
Har barsaat mein mili har baar ksis aur ke saath

Kyon samjhaate ho mujhe mere dil mein koi dard nahi
Mera to dil hi chala gaya us bewafa ke saath

Sapnoo ka yun tootna ankhon mein ab bhi chubhta hai
waqt bhar dega zakhm saare, jee rahe hain hum is Aas ke saath

Tum manaao jashn ki ab raton raat diwali hai
Apna to ek dard ka rishta hai is kali raat ke saath



मंगलवार, 20 फ़रवरी 2007

Yaad

Tum se dooriyan acchi, mulakaaton ke bahaane the
tum door ho k bhi kareeb the, kya haseen zamaane thee.

Raat bhi kabhi kahin, itani pareshaan na thi
chandani na aane ke, uske apne bahaane thee.

Tumhare gulsitaan mein bhi, koi kami thi nahi
hamaare biyanbaan mein to, shool bhi begaane thee.

Tum to aaj ho nahi,par aaj bhi tum hi lagti hao
tumhare baad ke veerane se, hum kitane anjaane thee.
Kai roz se rosi bhi aai nahi , sab adhura sa lagta hai. Ab to raat ke das baj gaye hain shyad is baar kuch jyada naraaz ho gayi hai. Kitane haseen pal hamne saath me jiye hain,

Wo mera intezzar karna woh uska dabe paav aana aur dheere se mere haaton ko choomna. Din bhar ki office ki thakaan ko thakane ka madda rakhti hai rosi.Mera daftar se kahin aur chala jana use bilkul pasand nahi hai, agar main samay pe ghar na pahoonch saka to samjho aaj roti nahi milegi, kyonki rosi ke khaye bina to main nahi kha sakta na.
Main uske bachpan se use janta hoon. Paida hote hi maa-baap ka sayya uske sir se uth gaya.Bade mushkilaat bhare din the wo, par bechari ne aaj tak choon nahi ki. Uska dard, uske aanson na jane kahaan chupe hue hain. Maine kabhi dekhaa nahi. Shayad bachpan ke sadme ne uske aanso sukha diye hain. Jab choti si thi to apni godd me le le ke ghoomta tha. Us ke liye pahli baar shopping bhi maine ki thi , shayad wahi akhiri bhi thi jab maine Rosi ke liye ek hair comb liya tha. Kitna bachpana tha mujh me..

Jab rosi badi hui to mano jaise uske jawani ka saara bojh mujh pe aa gaya ho. Saaraa din office me bas ek hi khayaal , ki kahin rosi bahar to nahi gayi hogi ya koi ghar me to nahi ghus ayaa hoga. Man ek jahaaj ke panchi ki tarah udd to raha tha par laut ke wapis rosi ke paas aa jata tha.
Kabhi kabhi to aisa lagt tha ki Rosi purane janm me hamare hi khandaan ka hissa thi.
Rosi ko raat me bilkul neend nahi aati thi, aisa lagta tha mano bahut baichain hai, kuch aisa hai jo dil hi dil me usse khaye jaa raha hai.Lekin kabhi usne kuch nahi kaha.Kabhi kabhi wo mujhe aisee dekhti thi mano jaise pooch rahi ho ki kya paap kiye hain usne jinki saja wo is tarah bhugat rahi hai. bahut akeli, tanha aur shyad ignored thi.Na uske koi dost the , na hi koi rishtedar bas ek main hi tha jo kuch tha.Na jane kab bimaar hui na jane kab theek bhi ho gayi par kuch boli nahi. Shayad kuch dabaa rakhaa tha dil me

Aaj aankh bhar ayi hai, rosi kai dino se na jane kahaan chali gayi hai.Sunte to hain ki do din pahle Kutte pakadne wali gaadi mohalle main aayi thi, par dil hai ki sab jaante hue bhi nahi manta hai.
Na jane kis haal me hogi Rosi......Rosi tum jate jate mujhe ek lambi khamoshi de gayi ho..
The Monk

सोमवार, 19 फ़रवरी 2007

Shaam Ho gayi

Yun hi chalte chalte ek aur shaam ho gayi
Din bhar bune sapno ki maut sare aam ho gayi

Kai din se tere ghar ka pata pooch raha
Na jane kaun tha, jiski maut asaan ho gayi

Koi deewana galiyare se duhaai de raha
Dosti me bewafai, ab ek shaan ho gayi

Mile hi na the mujhse tum to bichadte kaisee
mil ke bichadne ki rasm to aam ho gayi

Ab to rah ko hi manzil kartaa chaloon
taki phir keh na sakoon ki raste mein hi shaam ho gayi.

परछाइयाँ

बेजान दीवारों पर खामोश परछाइयाँ 
मेरे तन्हाई की साथी बनी है परछाइयाँ 

तन्हाई में हमें यूँ वक़्त का तकाज़ा ना रहा 
दीवारों पर आकर वक़्त बताती रही परछाइयाँ 

वक़्त के धोके  ने यूँ तो कई बार मिटाया हमको 
पर रात की साजिश से मिट गयी हैं परछाइयाँ

मुसाफिर हूँ, यूँ ही चला जाता हूँ, बिना किसी मंजिल के 

मंजिल मंजिल भटकती है मुसाफिरों की परछाइयाँ 

Tute Rishte

Tute rishte ki dor mere haath mein hai
adhoore sapno ka poora such mere saath main hai
Aur hain kuch dhondhalin si yadein
jinki baat mere har baat mein hai

Bahte hue hai kohre main kuch raaste gum ho gaye
hawaon pe paanw rakh k tum bhi na jane kahan kho gaye
Tumhare diye jakhm aur nakhoono ke nisha
aaj bhi mere haath mein hai.

Tum se milkar bhi ek khamoshi chayi rahi
jagti ankho mein neend se aayi rahi
bhoolna tujhko itna aasan na tha
bhoolin sahi par yaaden teri aaj bhi saath mein hain...

Tute rishte.......

Maut


Intekaal ke intezaar ki imtehann ho gayiAai na Maut humein na jane kya khata ho gayi


Ja ke kaho koi Maut se ki yun na sataye humkoAnan hai to aa hi jaye yun roz roz na khaye humko


Hum roz der raat tera intezaar kar rahe hainKhidki, darwaaze sab tere liye khule rakh rahe hain


Ghar apna batla do mujhko gar aane me taklif ho
Main khud hi tumhare paas chala aaunga;

waada hai ye mera,
phir kabhi laut ke na jaaounga


Khoj

Jeevan rita beet gaya, mein ek asha mein reh gaya
shabdon ke arth badal gaye , mein paribhasha mein reh gaya !!

Geele mitti ki sondhi khushbu man mein bas ke rah gayi
par man ke akshar samajh na paya, mein sirf bhasha mein reh gaya!!

Dhonda jisko nagar nagar, wo kahin dil mein hi baitha tha
duniya ko mila wo unke ghar main, mein Kashi Kaba mein reh gaya!!